Javaz.

jan 01, 05.

I made sense and i was saner when i was young 🙂

main jalti ankhoun ke javaz dhondti hun
tareek rahoun ki main musafir
andheray rastoun mai cehra chupayay
muhabatoun ke charagh dhondti houn
sarnugoun darakhtoun ki row say guzartay
veranioun ki atah mai utertay
zindagi ke suragh dhondti houn
sehra ke paar ki rait main aksar
umeedoun kay sarab dhondti houn
himatain bay hisaab dhondti youn
main sulaghte ankhoun main khuwab dhondti houn !!

11 thoughts on “Javaz.

  1. sulaghti aankhon mein khwab dhoondti hoon..

    waah waah Asbah… 🙂

    dhool padi ek tasveer,
    ko aaj haatho mein le ke dekha,
    to tera masoom chehra,
    muskurata hua sa,
    saamne aaya.

    teri aankho mein,
    wo masoomiyat,
    wo bebaakpan,
    ab bhi nazar aa rahe the,
    tasveer mein.

    par puraani ho gayi hai tasveer,
    dhool jami hai wahaan,
    saaf karungi use.

    tera bachpan jab us tasveer se,
    khilkhilata hua,
    jhaankta tha,
    to sukoon milta tha.

    ummeed karti hoon,
    tumhe tumhara sapna,
    mil gaya ho,
    darakhto mein apna naam,
    dhoond liya hoga tumne,
    shayad,
    meri dua,
    kubool hui hogi.

    teri tasveer,
    ab saaf hai,
    dhool hata di hai,
    maine,
    is ummeed se,
    ki jab tum lauto,
    to pehchaan sako,
    apne bachpan ko!

  2. uff… so chilly so chilly i’ll repeat!

    you’re the true weaver of words dearest! how i take pride in knowing you 🙂

    *love*

  3. though d eng transaltion ws needed for me to understand all words….but when i understood n read it in urdu…den only its real beauty came out!
    it is sooo very adorable asbah…n though fiction for u at that time….very much relatable for me!
    direct dil se hai!! 🙂

    beauty in every line…love pain dreams…seems like words from my heart..

  4. sehra ke paar ki rait main aksar
    umeedoun kay sarab dhondti houn
    ….amazing line:)
    beautiful…profound…too good:)

    btw…what does “javaz” mean?

  5. sulaghti aankhon mein khwab dhoondhti hoon…perfect asbah…i loved evry word…pehle padha to samajh nahi aaya but den firse padha to poora samjh aaya…just awsome…

Leave a reply to comfortably numb Cancel reply